Wednesday, January 17, 2007

Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya,
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya ( nice one :-) )

hothon pe ulfat ka naam hota hai,
aankhon mein chhalakta jaam hota hai,
talwarroon ki jarurat waha kise,
jahan najro se "Qatl-e-Aam" hota hai


hasrat thi sirf unhe paane ki,
aur koi khwahish nahi is deewane ki,
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai,
kya jaroorat thi unhe itna pyara banane ki

hum apne per guroor nahi karte,
kisiko pyar karne ke liye majboor nahi karte,
magar jise dil mein ek baar basa le fir
marte dum tak use dil se door nahi karte

Likh sakte kisi ki taqdir agar hum,
Aapki taqdir mein har khushi likh dete,
Jo mod aapko kamyabi dilaye,
har lakeer ko ussi taraf mod dete


Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hai...
Patjhad ko chaman ki bahaar kehte hai..
.Ajab chalan hai duniya ka yaroo....
Ek dhokha hai jise sab PYAAR kehte hai...


zindagi kisi ki amanat nahi hoti.......
amanat me kabhi khayanat nahi hoti
dil ko sanbhal kar rakhna mere dost
ishq ki qaid me kabhi zamanat nahi hoti


0 Comments:

Post a Comment

<< Home