some good shers::
baadlon ke dermiyan kuch aisi sajish hui,
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar barish hui,
usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
or hame bhi zid hai wahi aashiyan banane ki
Pal hi aesa tha ki hum inkar na kar paye…
Zamane ke dar se ikraar na kar paye…
Na thi jinke bina zindagi munasib…
Chod diya sath unhone aur hum sawal tak na kar paye
Sochte hai in sagar ki lahron ko dekhkar.....
Qu ye kinaron se takrakar laut jati hai...
Karti hai wo kinaron se bewawafi...
Ya phir sagar se wafa nibhati hai........
mar jaoon main agar,
to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,to sir jhuka ke mohabbat bata jana.
bikhri jo ye haseen zulfein hain,
unhe aur bikhar jane do,
iss waqt ko kuch aur sawer jane do,
bakki na reh jaye subha tak tamanna koi,
ek raat aisi bhi guzar jane do.
hokar zameen ka, aasman ki chah kyon karoon,main tujhko paane ki tamanna kyon karoon,mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe har pal,isliye bata de main tujhse wafa kyon karoon.imaan ko mere chot lagegi,gr tu na mili mujhe,tujhe aapna banane ki dua phir kyon karoon,teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye,tujhe na chahne ki khata main kyon karoon.farishtey bhi tadap jate hain ,teri aankhon se jab ashk chalakte hain,ye dard tujhe dekar, main koi gunah kyon karoon.teri meri kismat ki rahein hain juda juda,main phir tera ban jane ki aarzo kyon karoon, mana ki mohhabat bhari nazar dil pe ghera asar karti hai,tujhe pyaar se dekh kar tujhpar koi jaadu kyon karoon.itna dukhaya hai dil ko tune mere,itna rulaya hai mujhe,sab kuch sahoon, phir bhitujhse be-intihah pyaar kyon karoon!
mohhabat ke bhi kuch khaas andaz hote hain,
jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hain,
zaroori nahi gam mein hi aasoon niklen,
muskurati aakhon mein bhi sailaab hote hain....
Mohabbat mujhe thi unse itni,
Sanam yaadon mein dil tadapta raha,
Maut bhi meri chahat ko rok na saki,
Kabr mein bhi dil dhadakta raha
Bheeg jati hai palke tanhai mai…
Darte hai koi pehchan na le…
Pasand karte hai tez barsat mai chalna …
Kahi rote hue koi pehchan na le…
Ye din yu hi gujar jayenge,
shayad hum bichad jayenge,
Naaraz na ho aap hamari shararto se,
yehi to wo pal hai jo aksar yaad aayenge……..
0 Comments:
Post a Comment
<< Home